hum bansuri par maut ki gate rahe naghma tera
hum bansuri par maut ki gate rahe naghma tera
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
Interesting Fact
Pattern of this ghazal that was written in Insha's remembrance, follows one of his most notable ghazals ' Kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera'.
ham bāñsurī par maut kī gaate rahe naġhma tirā
ai zindagī ai zindagī rutba rahe baalā tirā
apnā muqaddar thā yahī ai mamba-e-āsūdgī
bas tishnagī bas tishnagī go paas thā dariyā tirā
is gaam se us gaam tak zanjīr-e-ġham ke fāsle
manzil to kyā ham ko mile, chaltā rahe rastā tirā
tū kaun thā kyā naam thā tujh se hameñ kyā kaam thā
hai parda-e-dil par abhī dhuñdlā sā ik chehra tirā
sūraj hai go nā-mehrbāñ hai sar pe niilā sā.ebāñ
ai āsmāñ ai āsmāñ daa.im rahe saaya tirā
hum bansuri par maut ki gate rahe naghma tera
ai zindagi ai zindagi rutba rahe baala tera
apna muqaddar tha yahi ai mamba-e-asudgi
bas tishnagi bas tishnagi go pas tha dariya tera
is gam se us gam tak zanjir-e-gham ke fasle
manzil to kya hum ko mile, chalta rahe rasta tera
tu kaun tha kya nam tha tujh se hamein kya kaam tha
hai parda-e-dil par abhi dhundla sa ek chehra tera
suraj hai go na-mehrban hai sar pe nila saeban
ai aasman ai aasman daim rahe saya tera
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 49)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.