hum bar bar shikwa-e-taqdir kya karen
ham baar baar shikva-e-taqdīr kyā kareñ
hogī na kārgar koī tadbīr kyā kareñ
kātib ko ḳhud hamāre muqaddar pe hai malāl
kyā kuchh paḌā hai sahnā ye tash.hīr kyā kareñ
dekhā hai jab se jhāñk ke ḳhud apne aap ko
ik muḳhtalif sī mil ga.ī tasvīr kyā kareñ
sapne suhāne sab yahāñ bikhre haiñ ek ek
ab ḳhvāb kuchh ho ḳhvāb kī ta.abīr kyā kareñ
mil jaa.e kaash ḳhizr hī sahrā nasīb ko
bhaTke hue haiñ ham sabhī rahgīr kyā kareñ
hum bar bar shikwa-e-taqdir kya karen
hogi na kargar koi tadbir kya karen
katib ko KHud hamare muqaddar pe hai malal
kya kuchh paDa hai sahna ye tashhir kya karen
dekha hai jab se jhank ke KHud apne aap ko
ek muKHtalif si mil gai taswir kya karen
sapne suhane sab yahan bikhre hain ek ek
ab KHwab kuchh ho KHwab ki tabir kya karen
mil jae kash KHizr hi sahra nasib ko
bhaTke hue hain hum sabhi rahgir kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.