hum baat tere munh pe khari karne lage hain
ham baat tire muñh pe kharī karne lage haiñ
jā tujh ko taḳhayyul se barī karne lage haiñ
haañ raas nahīñ ham ko mohabbat kā ḳhazāna
thak-hār ke ham saudāgarī karne lage haiñ
miTTī se banāyā thā jo sāhil pe gharauñdā
kuchh bachche use bāra-darī karne lage haiñ
is vāste lahje ko badal Daalā hai ham ne
ḳhūshāb ko ham dekh mirī karne lage haiñ
muddat se taḳhayyul meñ thī jo mūrtī terī
ham ab ke use chhū ke parī karne lage haiñ
jo log nahīñ jānte miTTī kī haqīqat
vo log bhī ab kūza-garī karne lage haiñ
qurbān 'hasan' aise faqīroñ pe mirā dil
jo peḌ ke pattoñ ko darī karne lage haiñ
hum baat tere munh pe khari karne lage hain
ja tujh ko taKHayyul se bari karne lage hain
han ras nahin hum ko mohabbat ka KHazana
thak-haar ke hum saudagari karne lage hain
miTTi se banaya tha jo sahil pe gharaunda
kuchh bachche use bara-dari karne lage hain
is waste lahje ko badal Dala hai hum ne
KHushab ko hum dekh meri karne lage hain
muddat se taKHayyul mein thi jo murti teri
hum ab ke use chhu ke pari karne lage hain
jo log nahin jaante miTTi ki haqiqat
wo log bhi ab kuza-gari karne lage hain
qurban 'hasan' aise faqiron pe mera dil
jo peD ke patton ko dari karne lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.