hum baiThe hain aas lagae
ham baiThe haiñ aas lagā.e
us kī marzī aa.e na aa.e
kaisā ḳhvāb aur niiñd kahāñ kī
muddat ho ga.ī aañkh lagā.e
merā patā na denā us ko
vo jab mujh ko DhūñDne aa.e
us kā barf sā charne man meñ
ik anjānī aag lagā.e
jis raste bhī jaa.eñ mohabbat
raah meñ baiThī ghaat lagā.e
kaun bhalā āzmā.e kisī ko
kaun bhalā ab diyā bujhā.e
ḳhushiyāñ pal do pal kī sāthī
ġham hī hamesha saath nibhā.e
ab to aa jā der huī hai
dekh zarā to shaam ke saa.e
hum baiThe hain aas lagae
us ki marzi aae na aae
kaisa KHwab aur nind kahan ki
muddat ho gai aankh lagae
mera pata na dena us ko
wo jab mujh ko DhunDne aae
us ka barf sa charne man mein
ek anjaani aag lagae
jis raste bhi jaen mohabbat
rah mein baiThi ghat lagae
kaun bhala aazmae kisi ko
kaun bhala ab diya bujhae
KHushiyan pal do pal ki sathi
gham hi hamesha sath nibhae
ab to aa ja der hui hai
dekh zara to sham ke sae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.