hum bhi ai dost gham-e-ishq ke mare the kabhi
ham bhī ai dost ġham-e-ishq ke maare the kabhī
ham ne bhī chand hasīñ lamhe guzāre the kabhī
kaun mānegā kise aaj yaqīñ aa.egā
ham bhī duniyā ko dil-o-jān se pyāre the kabhī
ab ye aalam hai ḳhalāoñ meñ bhaTaktī hai nazar
zarre zarre meñ nihāñ chāñd sitāre the kabhī
ab vahī haath haiñ aur chāk-garebāñ zālim
jin se din raat tire baal sañvāre the kabhī
zindagī jin se daraḳhshāñ thī mohabbat zinda
usī ḳhākistar-e-dil meñ sharāre the kabhī
bhūlnā chāhūñ agar maiñ to bhulā bhī na sakūñ
uff vo lamhe jo tire saath guzāre the kabhī
itnī zālim to na thī gardish-e-daurāñ 'rāhī'
itne be-bas to na ham ishq ke maare the kabhī
hum bhi ai dost gham-e-ishq ke mare the kabhi
hum ne bhi chand hasin lamhe guzare the kabhi
kaun manega kise aaj yaqin aaega
hum bhi duniya ko dil-o-jaan se pyare the kabhi
ab ye aalam hai KHalaon mein bhaTakti hai nazar
zarre zarre mein nihan chand sitare the kabhi
ab wahi hath hain aur chaak-gareban zalim
jin se din raat tere baal sanware the kabhi
zindagi jin se daraKHshan thi mohabbat zinda
usi KHakistar-e-dil mein sharare the kabhi
bhulna chahun agar main to bhula bhi na sakun
uff wo lamhe jo tere sath guzare the kabhi
itni zalim to na thi gardish-e-dauran 'rahi'
itne be-bas to na hum ishq ke mare the kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.