hum bhi badal gae teri tarz-e-ada ke sath sath
ham bhī badal ga.e tirī tarz-e-adā ke saath saath
rañg-e-hinā ke saath saath shoḳhī-e-pā ke saath saath
nik.hat-e-zulf le uḌī misl-e-ḳhayāl chal paḌī
chaltā hai kaun dekhiye aaj hinā ke saath saath
itnī jafā-tarāziyāñ itnī sitam-shi.āriyāñ
tum bhī chale ho kuchh qadam ahl-e-vafā ke saath saath
vahshat-e-dard-e-hijr ne ham ko jagā jagā diyā
niiñd kabhī jo aa ga.ī ThanDī huā ke saath saath
hosh uḌā uḌā diye raah ke iztirāb ne
nik.hat-e-gul chalī to thī bād-e-sabā ke saath saath
hum bhi badal gae teri tarz-e-ada ke sath sath
rang-e-hina ke sath sath shoKHi-e-pa ke sath sath
nikhat-e-zulf le uDi misl-e-KHayal chal paDi
chalta hai kaun dekhiye aaj hina ke sath sath
itni jafa-taraaziyan itni sitam-shiariyan
tum bhi chale ho kuchh qadam ahl-e-wafa ke sath sath
wahshat-e-dard-e-hijr ne hum ko jaga jaga diya
nind kabhi jo aa gai ThanDi hua ke sath sath
hosh uDa uDa diye rah ke iztirab ne
nikhat-e-gul chali to thi baad-e-saba ke sath sath
- Book : shab-khoon-shumara-number-027 (Pg. 34)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.