hum bhi baiThe yaad-e-jaanan zikr-e-jaanan mein asir

hum bhi baiThe yaad-e-jaanan zikr-e-jaanan mein asir
Akhlaq Ahmad Ahan
MORE BYAkhlaq Ahmad Ahan
ham bhī baiThe yād-e-jānāñ zikr-e-jānāñ meñ asiir
hijr kī tārīkiyoñ meñ yaad un kī dastgīr
haa.e kuchh zaḳhm-e-jigar haiñ tohfa-e-yār-e-'azīz
chashm-o-mizhgāñ ḳhāl-o-abrū tiir haiñ bas tez tiir
mai-kashī 'ādat nahīñ hai phir bhī yād-e-mai-kashī
raat din taḌpā.e mujh ko chashm-e-sāqī kī lakīr
hai turāb-e-jāñ-nisārī 'ishq-o-'irfāñ se vujūd
pūchhte kyā ho ki kaisī hai mirī jaañ kī ḳhamīr
'āhan'-e-be-chāra-o-bekas kā pūchho haal kyā
shāh-e-istiġhnā hai lekin tere dar kā vo faqīr
hum bhi baiThe yaad-e-jaanan zikr-e-jaanan mein asir
hijr ki tarikiyon mein yaad un ki dastgir
hae kuchh zaKHm-e-jigar hain tohfa-e-yar-e-'aziz
chashm-o-mizhgan KHal-o-abru tir hain bas tez tir
mai-kashi 'adat nahin hai phir bhi yaad-e-mai-kashi
raat din taDpae mujh ko chashm-e-saqi ki lakir
hai turab-e-jaan-nisari 'ishq-o-'irfan se wujud
puchhte kya ho ki kaisi hai meri jaan ki KHamir
'ahan'-e-be-chaara-o-bekas ka puchho haal kya
shah-e-istighna hai lekin tere dar ka wo faqir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.