hum bhi dekhenge ki aana tera kyunkar na hua
hum bhi dekhenge ki aana tera kyunkar na hua
Mirza Rahimuddin Haya
MORE BYMirza Rahimuddin Haya
ham bhī dekheñge ki aanā tirā kyūñkar na huā
ye bhī ik khel huā fitna-e-mahshar na huā
ham hī the ḳhaak ke putle ki hue jal kar ḳhaak
ai falak aur koī tujh ko mayassar na huā
vaa.e nākāmī-e-qismat ki kabhī halq apnā
qābil-e-ḳhanjar-o-shamshīr-e-sitamgar na huā
ham na kahte the kiyā kar na sadā shor-o-fuġhāñ
inhīñ bātoñ se Thikānā dil-e-muztar na huā
merī vahshat ne kiyā hashr meñ hangāma sā
chaak sau jaa.e se kam dāman-e-mahshar na huā
hasrat us āshiq-e-nāshād pe jis kā ye haal
na huā vasl-e-butāñ aur use dūbhar na huā
ham to kahte the dilā jī kā lagānā hai burā
āḳhirash aage vo aayā na ki behtar na huā
āb-e-shamshīr tirā kaam na aayā apne
dahan-e-ḳhushk-o-lab-e-tishna gulū tar na huā
qismat-e-ġhair hī achchhī hai ki har-dam hai visāl
ham se to hashr kā bhī va.ada muqarrar na huā
saḳhtiyāñ thiiñ mere qismat kī tirī ulfat meñ
pīTnā jaañ kā kisī din but-e-kāfir na huā
haiñ ye sāmān-e-shab-e-aish ke nāhaq ta.ane
kab tum aa.e the ki kuchh mujh ko mayassar na huā
jurm-e-yak-bosa-e-abrū pe kiye do TukḌe
zulm ye shikva ye baaqī ki barābar na huā
ghar meñ jaatī nahīñ pahchānī tirī shakl 'hayā'
us pe hasrat ki dar-e-yār pe bistar na huā
hum bhi dekhenge ki aana tera kyunkar na hua
ye bhi ek khel hua fitna-e-mahshar na hua
hum hi the KHak ke putle ki hue jal kar KHak
ai falak aur koi tujh ko mayassar na hua
wae nakaami-e-qismat ki kabhi halq apna
qabil-e-KHanjar-o-shamshir-e-sitamgar na hua
hum na kahte the kiya kar na sada shor-o-fughan
inhin baaton se Thikana dil-e-muztar na hua
meri wahshat ne kiya hashr mein hangama sa
chaak sau jae se kam daman-e-mahshar na hua
hasrat us aashiq-e-nashad pe jis ka ye haal
na hua wasl-e-butan aur use dubhar na hua
hum to kahte the dila ji ka lagana hai bura
aaKHirash aage wo aaya na ki behtar na hua
aab-e-shamshir tera kaam na aaya apne
dahan-e-KHushk-o-lab-e-tishna gulu tar na hua
qismat-e-ghair hi achchhi hai ki har-dam hai visal
hum se to hashr ka bhi wada muqarrar na hua
saKHtiyan thin mere qismat ki teri ulfat mein
piTna jaan ka kisi din but-e-kafir na hua
hain ye saman-e-shab-e-aish ke nahaq tane
kab tum aae the ki kuchh mujh ko mayassar na hua
jurm-e-yak-bosa-e-abru pe kiye do TukDe
zulm ye shikwa ye baqi ki barabar na hua
ghar mein jati nahin pahchani teri shakl 'haya'
us pe hasrat ki dar-e-yar pe bistar na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.