hum bhi matub teri chashm-e-sitam-gar ke hue
ham bhī ma.atūb tirī chashm-e-sitam-gar ke hue
haa.e jis dar se gurezāñ the usī dar ke hue
ye to e.ajāz hai āshufta-sarī kā ki jo ham
kahīñ tasvīr meñ ubhre kisī manzar ke hue
ham samajhte the jinheñ bā.is-e-taskīn-o-qarār
āḳhirash log vahī rog muqaddar ke hue
ham vo rahrav jo sadā tishna-e-manzil hī rahe
ham vo dariyā jo kabhī bhī na samundar ke hue
hum bhi matub teri chashm-e-sitam-gar ke hue
hae jis dar se gurezan the usi dar ke hue
ye to eajaz hai aashufta-sari ka ki jo hum
kahin taswir mein ubhre kisi manzar ke hue
hum samajhte the jinhen bais-e-taskin-o-qarar
aaKHirash log wahi rog muqaddar ke hue
hum wo rahraw jo sada tishna-e-manzil hi rahe
hum wo dariya jo kabhi bhi na samundar ke hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.