hum bhi sunte jo tere husn ke charche hote
ham bhī sunte jo tire husn ke charche hote
kaash us vaqt tirī bazm meñ baiThe hote
dil ke vo daaġh jo siine meñ chhupā rakkhe haiñ
ai masīhā vo kabhī tū ne bhī dekhe hote
ham samajh hī na sake terī nazar kā mafhūm
varna yuuñ but se bane raah meñ baiThe hote
ġham-e-daurāñ kī kaḌī dhuup ye taptā sahrā
kaash do-gām tirī zulf ke saa.e hote
ham jalā lete agar terī mohabbat ke charāġh
in añdheroñ kī jagah dil meñ ujāle hote
dil meñ hotā na kabhī zauq-e-tajassus kā hujūm
tujh se duniyā meñ agar aur bhī chehre hote
hum bhi sunte jo tere husn ke charche hote
kash us waqt teri bazm mein baiThe hote
dil ke wo dagh jo sine mein chhupa rakkhe hain
ai masiha wo kabhi tu ne bhi dekhe hote
hum samajh hi na sake teri nazar ka mafhum
warna yun but se bane rah mein baiThe hote
gham-e-dauran ki kaDi dhup ye tapta sahra
kash do-gam teri zulf ke sae hote
hum jala lete agar teri mohabbat ke charagh
in andheron ki jagah dil mein ujale hote
dil mein hota na kabhi zauq-e-tajassus ka hujum
tujh se duniya mein agar aur bhi chehre hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.