hum bhi to kabhi raunaq-e-bazar rahe hain
ham bhī to kabhī raunaq-e-bāzār rahe haiñ
bikne ke liye shauq se tayyār rahe haiñ
ham ne kabhī sūraj se ujālā nahīñ māñgā
ik chāñd se chehre ke talabgār rahe haiñ
dīvāne ko zanjīr kā kuchh ḳhauf nahīñ hai
ham vo haiñ jo zulfoñ meñ giraftār rahe haiñ
darkār nahīñ ham ko ye paimāna-o-sāġhar
ham āñkhoñ se piine ke gunahgār rahe haiñ
bhūle se kabhī un ko siyahkār na kahnā
jo log haqīqat meñ siyahkār rahe haiñ
maanā ki baḌe sahl haiñ tere liye ham log
duniyā ke liye uqda-e-dushvār rahe haiñ
har gosha-e-tārīk munavvar kiyā ham ne
har bazm meñ ham the jo ziyā-bār rahe haiñ
hum bhi to kabhi raunaq-e-bazar rahe hain
bikne ke liye shauq se tayyar rahe hain
hum ne kabhi suraj se ujala nahin manga
ek chand se chehre ke talabgar rahe hain
diwane ko zanjir ka kuchh KHauf nahin hai
hum wo hain jo zulfon mein giraftar rahe hain
darkar nahin hum ko ye paimana-o-saghar
hum aankhon se pine ke gunahgar rahe hain
bhule se kabhi un ko siyahkar na kahna
jo log haqiqat mein siyahkar rahe hain
mana ki baDe sahl hain tere liye hum log
duniya ke liye uqda-e-dushwar rahe hain
har gosha-e-tarik munawwar kiya hum ne
har bazm mein hum the jo ziya-bar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.