hum bhi yaqin-e-wada-e-farda na kar sake
ham bhī yaqīn-e-vāda-e-fardā na kar sake
do din kī zindagī kā bharosā na kar sake
ehsāñ marīz-e-ġham pe masīhā na kar sake
achchhā yahī huā ki vo achchhā na kar sake
rānā.ī-e-ḳhayāl hameñ roktī rahī
mauqa bhī thā to arz-e-tamannā na kar sake
kuchh baat hai ki ham se mohabbat huī na tark
karnā bhī chāhte the to aisā na kar sake
zinda diloñ ko zinda-e-jāved kar dikhāo
vo kaam tum karo jo masīhā na kar sake
fursat hameñ milī na ġham-e-hijr-e-yār se
sāmān-e-imbisāt muhayyā na kar sake
apnā hī e.atibār nahīñ is jahān meñ
kaise kaheñ ki tum pe bharosā na kar sake
kaise bayāñ ho ham se kisī dil kī aarzū
ḳhalvat-nashīñ ko anjuman-ārā na kar sake
'sāqib' jahāñ meñ aa ke kiyā ham ne kyā agar
us jān-e-ārzū kī tamanna na kar sake
hum bhi yaqin-e-wada-e-farda na kar sake
do din ki zindagi ka bharosa na kar sake
ehsan mariz-e-gham pe masiha na kar sake
achchha yahi hua ki wo achchha na kar sake
ranai-e-KHayal hamein rokti rahi
mauqa bhi tha to arz-e-tamanna na kar sake
kuchh baat hai ki hum se mohabbat hui na tark
karna bhi chahte the to aisa na kar sake
zinda dilon ko zinda-e-jawed kar dikhao
wo kaam tum karo jo masiha na kar sake
fursat hamein mili na gham-e-hijr-e-yar se
saman-e-imbisat muhayya na kar sake
apna hi eatibar nahin is jahan mein
kaise kahen ki tum pe bharosa na kar sake
kaise bayan ho hum se kisi dil ki aarzu
KHalwat-nashin ko anjuman-ara na kar sake
'saqib' jahan mein aa ke kiya hum ne kya agar
us jaan-e-arzu ki tamanna na kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.