hum chale jaenge phir haal tera kya hoga
ham chale jā.eñge phir haal tirā kyā hogā
ham na hoñge to tire ghar meñ añdherā hogā
phuul ke badle jo us shoḳh ne pheñkā hogā
dil kā ā.īna usī sang se TuuTā hogā
kis ko ehsās dilāne ko chale aa.e ho
kis ko is shahr meñ ab tum pe bharosa hogā
ab zarā soch-samajh kar hī sahārā DhūñDo
ḳhushk peḌoñ kā ye saaya bhī adhūrā hogā
log mahloñ meñ baseroñ ke tamannā.ī haiñ
merī taqdīr meñ miTTī kā gharauñdā hogā
phuul chun-chun ke to pathrā ga.iiñ āñkheñ apnī
kab kisī jhiil sī āñkhoñ kā nazārā hogā
mujh ko shohrat kī zarūrat nahīñ 'afsar-dakanī’
merī ġhazloñ kā har ik bazm meñ charchā hogā
hum chale jaenge phir haal tera kya hoga
hum na honge to tere ghar mein andhera hoga
phul ke badle jo us shoKH ne phenka hoga
dil ka aaina usi sang se TuTa hoga
kis ko ehsas dilane ko chale aae ho
kis ko is shahr mein ab tum pe bharosa hoga
ab zara soch-samajh kar hi sahaara DhunDo
KHushk peDon ka ye saya bhi adhura hoga
log mahlon mein baseron ke tamannai hain
meri taqdir mein miTTi ka gharaunda hoga
phul chun-chun ke to pathra gain aankhen apni
kab kisi jhil si aankhon ka nazara hoga
mujh ko shohrat ki zarurat nahin 'afsar-dakani’
meri ghazlon ka har ek bazm mein charcha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.