hum dard-e-nihan ko mahfil mein ruswa-e-hikayat kar na sake
hum dard-e-nihan ko mahfil mein ruswa-e-hikayat kar na sake
Akhtar Husain Shaafi
MORE BYAkhtar Husain Shaafi
ham dard-e-nihāñ ko mahfil meñ rusvā-e-hikāyat kar na sake
kahne ko bahut kuchh thā lekin kuchh un se ḳhitābat kar na sake
ai husn zarā dam bhar ke liye kuchh shoḳh tujhe bhī honā thā
do dil the fidā aapas meñ magar iz.hār-e-mohabbat kar na sake
guzre hue lamhoñ kī yādeñ ab shauq-e-vafā se kahtī haiñ
jo shai thī qarīb-e-qalb-o-jigar us shai se rifāqat kar na sake
har shauq baḌhā kar sapne meñ zahmat to uThā.ī rāhoñ kī
pahuñche to dar-e-ka.aba pe magar ka.abe kī ziyārat kar na sake
siine meñ ḳhalish hai furqat kī betāb tamanna hai merī
jo ham se mohabbat karte the ham un pe ināyat kar na sake
chanchal bhī vo the chālāk bhī the par sharm-o-hayā bhī aisī thī
ham man ke purāne paapī bhī kuchh un se sharārat kar na sake
vaa.iz ne kahā thā zabt karo jazbāt-e-mohabbat ko lekin
ham us kī hidāyat par chal kar is dil kī hifāzat kar na sake
duniyā ke ġhamoñ kā ḳhauf nahīñ bebāk musāfir ko 'shāfī'
dam bhar ke liye palkoñ ke tale afsos iqāmat kar na sake
hum dard-e-nihan ko mahfil mein ruswa-e-hikayat kar na sake
kahne ko bahut kuchh tha lekin kuchh un se KHitabat kar na sake
ai husn zara dam bhar ke liye kuchh shoKH tujhe bhi hona tha
do dil the fida aapas mein magar izhaar-e-mohabbat kar na sake
guzre hue lamhon ki yaaden ab shauq-e-wafa se kahti hain
jo shai thi qarib-e-qalb-o-jigar us shai se rifaqat kar na sake
har shauq baDha kar sapne mein zahmat to uThai rahon ki
pahunche to dar-e-kaba pe magar kabe ki ziyarat kar na sake
sine mein KHalish hai furqat ki betab tamanna hai meri
jo hum se mohabbat karte the hum un pe inayat kar na sake
chanchal bhi wo the chaalak bhi the par sharm-o-haya bhi aisi thi
hum man ke purane papi bhi kuchh un se shararat kar na sake
waiz ne kaha tha zabt karo jazbaat-e-mohabbat ko lekin
hum us ki hidayat par chal kar is dil ki hifazat kar na sake
duniya ke ghamon ka KHauf nahin bebak musafir ko 'shafi'
dam bhar ke liye palkon ke tale afsos iqamat kar na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.