hum donon ek sath hon fasl-e-bahaar mein
ham donoñ ek saath hoñ fasl-e-bahār meñ
ik umr kaT ga.ī hai isī intizār meñ
mujh se shab-e-firāq kī lāchāriyāñ na pūchh
paḌtā nahīñ qarār dil-e-be-qarār meñ
mujh ko tumhārī yaad ne sahrā banā diyā
varna bahut maze the yahāñ ābshār meñ
lutf-e-visāl-e-yār baḌī chiiz hai agar
lazzat bhī kam nahīñ hai magar intizār meñ
'kāshif' tirī falāh kā hai rāsta yahī
hastī ko ḳhaak kar de tū murshid ke pyaar meñ
hum donon ek sath hon fasl-e-bahaar mein
ek umr kaT gai hai isi intizar mein
mujh se shab-e-firaq ki lachaariyan na puchh
paDta nahin qarar dil-e-be-qarar mein
mujh ko tumhaari yaad ne sahra bana diya
warna bahut maze the yahan aabshaar mein
lutf-e-visal-e-yar baDi chiz hai agar
lazzat bhi kam nahin hai magar intizar mein
'kashif' teri falah ka hai rasta yahi
hasti ko KHak kar de tu murshid ke pyar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.