hum etibar-e-junun bar bar karte rahe
ham e'tibār-e-junūñ baar baar karte rahe
salāhkār hameñ hoshiyār karte rahe
tamām 'umr jafāoñ ko 'āshiqī jaanā
tamām 'umr sitam-gar se pyaar karte rahe
jo mere baa'd tire ho nahīñ sake vo log
tirī tabāhiyoñ ko ġham-gusār karte rahe
tirī umiid bhī toḌī ḳhatā bhī kī ham ne
ḳhudā kī zaat yuuñ hī sharm-sār karte rahe
hamīñ pe bār-e-suḳhan rakh ke chal diye 'ġhālib'
hamīñ suḳhanvarī meñ barg-o-bār karte rahe
hum e'tibar-e-junun bar bar karte rahe
salahkar hamein hoshiyar karte rahe
tamam 'umr jafaon ko 'ashiqi jaana
tamam 'umr sitam-gar se pyar karte rahe
jo mere ba'd tere ho nahin sake wo log
teri tabahiyon ko gham-gusar karte rahe
teri umid bhi toDi KHata bhi ki hum ne
KHuda ki zat yun hi sharm-sar karte rahe
hamin pe bar-e-suKHan rakh ke chal diye 'ghaalib'
hamin suKHanwari mein barg-o-bar karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.