hum ek aankh un ko na bhae gae hain
ham ek aañkh un ko na bhaa.e ga.e haiñ
magar phir vo kyoñ muskurā.e ga.e haiñ
na dāmāñ na sāmāñ na taqdīr apnī
faqīrī meñ kyoñ ham satā.e ga.e haiñ
koī ham sā rusvā na hogā jahāñ meñ
jahāñ se bhī nikle nikāle ga.e haiñ
baḌhe hī chale jā rahe haiñ añdhere
na-jāne kahāñ par ujāle ga.e haiñ
kahāñ rāz-e-hastī kahāñ tere jalve
ye parde bhī kaise girā.e ga.e haiñ
qasam khā ke sar kī vo kahte haiñ 'barham'
ye gesū tumhāre sañvāre ga.e haiñ
hum ek aankh un ko na bhae gae hain
magar phir wo kyon muskurae gae hain
na daman na saman na taqdir apni
faqiri mein kyon hum satae gae hain
koi hum sa ruswa na hoga jahan mein
jahan se bhi nikle nikale gae hain
baDhe hi chale ja rahe hain andhere
na-jaane kahan par ujale gae hain
kahan raaz-e-hasti kahan tere jalwe
ye parde bhi kaise girae gae hain
qasam kha ke sar ki wo kahte hain 'barham'
ye gesu tumhaare sanware gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.