hum ek Dhalti hui dhup ke taaqub mein
ham ek Dhaltī huī dhuup ke ta'āqub meñ
haiñ tez-gām saa.e saa.e jaate haiñ
chaman meñ shiddat-e-dard-e-numūd se ġhunche
taḌap rahe haiñ magar muskurā.e jaate haiñ
maiñ vo ḳhizāñ kā barahna-badan shajar huuñ jise
libās-e-zaḳhm-e-bahārāñ pahnā.e jaate haiñ
shafaq kī jhiil meñ jab bhī hai Dūbtā sūraj
to paas dhuup hī jaatī na saa.e jaate haiñ
ye zindagī vo taḌaptī ġhazal hai 'kaif' jise
har ek sāz-e-havādis pe gaa.e jaate haiñ
hum ek Dhalti hui dhup ke ta'aqub mein
hain tez-gam sae sae jate hain
chaman mein shiddat-e-dard-e-numud se ghunche
taDap rahe hain magar muskurae jate hain
main wo KHizan ka barahna-badan shajar hun jise
libas-e-zaKHm-e-bahaaran pahnae jate hain
shafaq ki jhil mein jab bhi hai Dubta suraj
to pas dhup hi jati na sae jate hain
ye zindagi wo taDapti ghazal hai 'kaif' jise
har ek saz-e-hawadis pe gae jate hain
- Book : shab khuun (44) (rekhta website) (Pg. 51)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.