hum ek dusre ke is qadar KHumar mein hain
ham ek dūsre ke is qadar ḳhumār meñ haiñ
bichhaḌ chuke haiñ magar phir bhī intizār meñ haiñ
kamān khīñchne vaalo ko is kā ilm nahīñ
hadaf meñ haiñ hī nahīñ ham to ār-pār meñ haiñ
ye baat sach hai magar ham hī der meñ samjhe
na us ke aur na ham apne iḳhtiyār meñ haiñ
musāfiroñ kī thakan ye batā rahī hai hameñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ hai vo kis dayār meñ haiñ
vo ahl-e-zarf the saayā talāsh karte rahe
ham ahl-e-kashf haiñ uḌte hue ġhubār meñ haiñ
jo ḳhvāb TuuT ga.e sabr de ga.e mujh ko
jo ḳhvāb bach ga.e vo chashm-e-ashk-bār meñ haiñ
hum ek dusre ke is qadar KHumar mein hain
bichhaD chuke hain magar phir bhi intizar mein hain
kaman khinchne walo ko is ka ilm nahin
hadaf mein hain hi nahin hum to aar-par mein hain
ye baat sach hai magar hum hi der mein samjhe
na us ke aur na hum apne iKHtiyar mein hain
musafiron ki thakan ye bata rahi hai hamein
unhen KHabar hi nahin hai wo kis dayar mein hain
wo ahl-e-zarf the saya talash karte rahe
hum ahl-e-kashf hain uDte hue ghubar mein hain
jo KHwab TuT gae sabr de gae mujh ko
jo KHwab bach gae wo chashm-e-ashk-bar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.