hum ek hain hum ek hain hum ek rahenge
ham ek haiñ ham ek haiñ ham ek raheñge
ham de ke ḳhushī auroñ ko dukh un kā saheñge
ham phuul haiñ ḳhushbū hī sadā deñge jahāñ ko
hargiz na kabhī kāñTā kahīñ ban ke chubheñge
ham narm-kalāmī ke mohabbat ke haiñ ḳhūgar
aḳhlāq har ik haal meñ behtar hī raheñge
muskān hameñ denī hai dushman ke laboñ par
āñkhoñ se kisī kī na yahāñ ashk baheñge
haañ aql-o-ḳhirad se jinheñ nisbat nahīñ hogī
ḳhud-karda gunāhoñ se balāoñ meñ phaseñge
vo tum ko mile dair-o-haram meñ nahīñ mumkin
'hassān' use DhūñD diloñ meñ ye kaheñge
hum ek hain hum ek hain hum ek rahenge
hum de ke KHushi auron ko dukh un ka sahenge
hum phul hain KHushbu hi sada denge jahan ko
hargiz na kabhi kanTa kahin ban ke chubhenge
hum narm-kalami ke mohabbat ke hain KHugar
aKHlaq har ek haal mein behtar hi rahenge
muskan hamein deni hai dushman ke labon par
aankhon se kisi ki na yahan ashk bahenge
han aql-o-KHirad se jinhen nisbat nahin hogi
KHud-karda gunahon se balaon mein phasenge
wo tum ko mile dair-o-haram mein nahin mumkin
'hassan' use DhunD dilon mein ye kahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.