hum ek shahr mein jab sans le rahe honge
ham ek shahr meñ jab saañs le rahe hoñge
hamāre beach zamānoñ ke fāsle hoñge
vo chāhtā to ye hālāt Thiik ho jaate
bichhaḌne vaale sabhī aisā sochte hoñge
ye bebasī se tirī raah dekhne vaale
ga.e dinoñ meñ tire ḳhvāb dekhte hoñge
kahā bhī thā ki ziyāda qarīb mat aao
batāyā thā ki tumheñ mujh se mas.ale hoñge
vahī sifāt-o-ḳhasā.il haiñ aur vahī lahje
ye log pahle kabhī bheḌiye rahe hoñge
hum ek shahr mein jab sans le rahe honge
hamare beach zamanon ke fasle honge
wo chahta to ye haalat Thik ho jate
bichhaDne wale sabhi aisa sochte honge
ye bebasi se teri rah dekhne wale
gae dinon mein tere KHwab dekhte honge
kaha bhi tha ki ziyaada qarib mat aao
bataya tha ki tumhein mujh se masale honge
wahi sifat-o-KHasail hain aur wahi lahje
ye log pahle kabhi bheDiye rahe honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.