hum faqiri mizaj rakhte hain
ham faqīrī mizāj rakhte haiñ
apnī Thokar meñ taaj rakhte haiñ
haath meñ kaasa aur mire hākim
sar pe sone kā taaj rakhte haiñ
saare duniyā meñ qātil-o-maqtūl
apnā apnā mizāj rakhte haiñ
asl meñ devtā vahī haiñ ki jo
apne va.ade kī laaj rakhte haiñ
paidā karte haiñ jo masā.il vo
har maraz kā ilaaj rakhte haiñ
hum faqiri mizaj rakhte hain
apni Thokar mein taj rakhte hain
hath mein kasa aur mere hakim
sar pe sone ka taj rakhte hain
sare duniya mein qatil-o-maqtul
apna apna mizaj rakhte hain
asl mein dewta wahi hain ki jo
apne wade ki laj rakhte hain
paida karte hain jo masail wo
har maraz ka ilaj rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.