hum faqiron ka sune gar zikr-e-arra faKHta
ham faqīroñ kā sune gar zikr-e-arra fāḳhta
apnī kū-kū par kare hargiz na ġharra fāḳhta
jal ke ḳhākistar abhī ho jaa.e tū ik aan meñ
gar tire dil meñ ho soz-e-ishq zarra fāḳhta
chashm-e-tar se apnī tū sairāb rakh shamshād ko
yaañ daraḳht-e-ḳhushk par chaltā hai arra fāḳhta
jāma-e-ḳhākistarī se tere ye sābit huā
apnī darveshī kā hai tujh bhī ġharra fāḳhta
jis par us māh-e-tamāmī-posh kā saaya paḌe
baaġh meñ vo sarv ho rashk-e-maharra fāḳhta
ishq-e-mizhgāñ ne bhī to khīñchā hai dār-e-sarv par
yād-e-abrū meñ agar hai zer-e-arra fāḳhta
murġh-e-bustānī kā us ke sāmne dam band hai
naġhma-sanjī meñ na kar 'ġhāfil' se ġharra fāḳhta
hum faqiron ka sune gar zikr-e-arra faKHta
apni ku-ku par kare hargiz na gharra faKHta
jal ke KHakistar abhi ho jae tu ek aan mein
gar tere dil mein ho soz-e-ishq zarra faKHta
chashm-e-tar se apni tu sairab rakh shamshad ko
yan daraKHt-e-KHushk par chalta hai arra faKHta
jama-e-KHakistari se tere ye sabit hua
apni darweshi ka hai tujh bhi gharra faKHta
jis par us mah-e-tamami-posh ka saya paDe
bagh mein wo sarw ho rashk-e-maharra faKHta
ishq-e-mizhgan ne bhi to khincha hai dar-e-sarw par
yaad-e-abru mein agar hai zer-e-arra faKHta
murgh-e-bustani ka us ke samne dam band hai
naghma-sanji mein na kar 'ghafil' se gharra faKHta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.