ham faqīroñ kī jeb ḳhālī hai
yaad lekin tirī bachā lī hai
āsmāñ se koī ḳhayāl utre
zauq yārab mirā savālī hai
raaz pinhāñ the sab ḳhizāoñ ke
ḳhushk pattoñ ne baat uchhālī hai
terī yādoñ se bhāgnā kaisā
bas tavajjoh zarā haTā lī hai
log aate haiñ Duub jaate haiñ
zaat qulzum jo ab banā lī hai
nūr-e-yazdāñ kā tuur pe jā kar
ham ne dekhā murād pā lī hai
ishq hāsil bhī aur lā-hāsil
raat raushan bhī aur kaalī hai
hum faqiron ki jeb KHali hai
yaad lekin teri bacha li hai
aasman se koi KHayal utre
zauq yarab mera sawali hai
raaz pinhan the sab KHizaon ke
KHushk patton ne baat uchhaali hai
teri yaadon se bhagna kaisa
bas tawajjoh zara haTa li hai
log aate hain Dub jate hain
zat qulzum jo ab bana li hai
nur-e-yazdan ka tur pe ja kar
hum ne dekha murad pa li hai
ishq hasil bhi aur la-hasil
raat raushan bhi aur kali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.