hum gadhe ko gadha samajhte hain
ham gadhe ko gadhā samajhte haiñ
vo hameñ jaane kyā samajhte haiñ
rah-zano is tarah se kaam karo
sab mujhe rahnumā samajhte haiñ
jin ko ġhote na lag sake vo log
nāḳhudā ko ḳhudā samajhte haiñ
zindagī bhar kī koshishoñ kā husūl
vo mirā mudda.ā samajhte haiñ
log kahte haiñ bevafā mujh ko
aur tumheñ bā-vafā samajhte haiñ
chīḳhte kyoñ ho hazrat-e-nāseh
ham tumhārā kahā samajhte haiñ
ye kisī bheḌiye ke panje haiñ
ham tire naqsh-e-pā samajhte haiñ
ġhair se un kā rabt bhī samjheñ
jo unheñ bevafā samajhte haiñ
un kī āñkheñ jo terī āñkhoñ ko
kuchh nahīñ mai-kada samajhte haiñ
maiñ huuñ aulād kī jagah 'ustād'
jaane ye log kyā samajhte haiñ
hum gadhe ko gadha samajhte hain
wo hamein jaane kya samajhte hain
rah-zano is tarah se kaam karo
sab mujhe rahnuma samajhte hain
jin ko ghote na lag sake wo log
naKHuda ko KHuda samajhte hain
zindagi bhar ki koshishon ka husul
wo mera muddaa samajhte hain
log kahte hain bewafa mujh ko
aur tumhein ba-wafa samajhte hain
chiKHte kyon ho hazrat-e-naseh
hum tumhaara kaha samajhte hain
ye kisi bheDiye ke panje hain
hum tere naqsh-e-pa samajhte hain
ghair se un ka rabt bhi samjhen
jo unhen bewafa samajhte hain
un ki aankhen jo teri aankhon ko
kuchh nahin mai-kada samajhte hain
main hun aulad ki jagah 'ustad'
jaane ye log kya samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.