hum gham-zada hue to tamasha kaha gaya
ham ġham-zada hue to tamāsha kahā gayā
aañsū ko sirf paanī kā qatra kahā gayā
maañ baap ḳhush haiñ beTiyāñ qābil jo ho ga.iiñ
beTī kā ek dukh use beTā kahā gayā
kahnā thā mujh se duur na jaanā kabhī kahīñ
itnī sī baat kahne ko kyā kyā kahā gayā
hum gham-zada hue to tamasha kaha gaya
aansu ko sirf pani ka qatra kaha gaya
man bap KHush hain beTiyan qabil jo ho gain
beTi ka ek dukh use beTa kaha gaya
kahna tha mujh se dur na jaana kabhi kahin
itni si baat kahne ko kya kya kaha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.