hum gire hain jo aa ke itni dur
ham gire haiñ jo aa ke itnī duur
kis ne pheñkā ghumā ke itnī duur
kaisī zālim thī qurb kī ḳhvāhish
kahāñ maarā hai lā ke itnī duur
ab to us kā ḳhayāl bhī dil ne
rakh diyā hai uThā ke itnī duur
ab to vo barg-e-ārzū bhī havā
le ga.ī hai uḌā ke itnī duur
lāla-o-gul bhī ik tasallī hai
kaun aatā hai jā ke itnī duur
hum gire hain jo aa ke itni dur
kis ne phenka ghuma ke itni dur
kaisi zalim thi qurb ki KHwahish
kahan mara hai la ke itni dur
ab to us ka KHayal bhi dil ne
rakh diya hai uTha ke itni dur
ab to wo barg-e-arzu bhi hawa
le gai hai uDa ke itni dur
lala-o-gul bhi ek tasalli hai
kaun aata hai ja ke itni dur
- Book : Auraaq-e-Khezani (Pg. 45)
- Author : Ahmad Mushtaq
- Publication : Rekhta Foundation (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.