hum hain aur na-murad qismat hai
ham haiñ aur nā-murād qismat hai
kyā yahī hāsil-e-mohabbat hai
qaid-e-sayyād meñ ḳhayāl-e-chaman
gar qayāmat nahīñ to aafat hai
shauq betāb husn mustaġhnī
ishq kī zindagī musībat hai
jis kī tafsīr donoñ aalam haiñ
vo faqat ek lafz-e-ulfat hai
hum hain aur na-murad qismat hai
kya yahi hasil-e-mohabbat hai
qaid-e-sayyaad mein KHayal-e-chaman
gar qayamat nahin to aafat hai
shauq betab husn mustaghni
ishq ki zindagi musibat hai
jis ki tafsir donon aalam hain
wo faqat ek lafz-e-ulfat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.