hum hain aur shughl-e-ishq-bazi hai
ham haiñ aur shuġhl-e-ishq-bāzī hai
kyā haqīqī hai kyā majāzī hai
duḳhtar-e-raz nikal ke miinā se
kartī kyā kyā zabāñ-darāzī hai
ḳhat ko kyā dekhte ho aa.ine meñ
husn kī ye adā-tarāzī hai
hindu-e-chashm tāq-e-abrū meñ
kyā banā aan kar namāzī hai
nazr deñ nafs-kush ko duniyā-dār
vaah kyā terī be-niyāzī hai
but-e-tannāz ham se ho nā-sāz
kārsāzoñ kī kārsāzī hai
sach kahā hai kisī ne ye ai 'zauq'
māl-e-mūzī nasīb-e-ġhāzī hai
hum hain aur shughl-e-ishq-bazi hai
kya haqiqi hai kya majazi hai
duKHtar-e-raz nikal ke mina se
karti kya kya zaban-daraazi hai
KHat ko kya dekhte ho aaine mein
husn ki ye ada-taraazi hai
hindu-e-chashm taq-e-abru mein
kya bana aan kar namazi hai
nazr den nafs-kush ko duniya-dar
wah kya teri be-niyazi hai
but-e-tannaz hum se ho na-saz
karsazon ki karsazi hai
sach kaha hai kisi ne ye ai 'zauq'
mal-e-muzi nasib-e-ghazi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.