hum hain bas izn-e-safar hone tak
ham haiñ bas izn-e-safar hone tak
ḳhaak aur ḳhāk-ba-sar hone tak
kaise kaise haiñ marāhil darpesh
apne hone kī ḳhabar hone tak
kyā ajab vasl kī ḳhvāhish na rahe
hijr kī raat basar hone tak
dil-e-ḳhush-fahm tirī ḳhush-fahmī
muntashir gard-e-safar hone tak
sar-ba-sajda haiñ dar-e-'ġhālib' par
ḳhush-suḳhan ahl-e-nazar hone tak
hum hain bas izn-e-safar hone tak
KHak aur KHak-ba-sar hone tak
kaise kaise hain marahil darpesh
apne hone ki KHabar hone tak
kya ajab wasl ki KHwahish na rahe
hijr ki raat basar hone tak
dil-e-KHush-fahm teri KHush-fahmi
muntashir gard-e-safar hone tak
sar-ba-sajda hain dar-e-'ghaalib' par
KHush-suKHan ahl-e-nazar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.