hum hain dar-asl ek sarae koi
ham haiñ dar-asl ik sarā.e koī
chhoḌ jaa.e to chhoḌ jaa.e koī
mālika tū javāb-dah hai mujhe
ghar rahe koī ghar banā.e koī
ye zamīneñ sagī nahīñ hotīñ
in parindoñ ko kyā batā.e koī
ye mire hāfize kī barkat hai
bhuul jaane pe yaad aa.e koī
gir ke bistar pe roz sochtā huuñ
kaash paaoñ mire dabā.e koī
ye mohabbat nahīñ ye hijrat hai
dhyān rakhnā ki thak na jaa.e koī
hum hain dar-asl ek sarae koi
chhoD jae to chhoD jae koi
malika tu jawab-dah hai mujhe
ghar rahe koi ghar banae koi
ye zaminen sagi nahin hotin
in parindon ko kya batae koi
ye mere hafize ki barkat hai
bhul jaane pe yaad aae koi
gir ke bistar pe roz sochta hun
kash paon mere dabae koi
ye mohabbat nahin ye hijrat hai
dhyan rakhna ki thak na jae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.