hum hain tufan-e-hawadis se guzarne wale
hum hain tufan-e-hawadis se guzarne wale
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
ham haiñ tūfān-e-havādis se guzarne vaale
ham nahīñ mauj-e-balā-ḳhez se Darne vaale
aap jī bhar ke dil-e-zār pe bedād kareñ
ham kisī taur shikāyat nahīñ karne vaale
kaash tū dard-e-mohabbat se shanāsā hotā
ahd-o-paimān-e-mohabbat se mukarne vaale
phuul hī phuul nahīñ is meñ ka.ī ḳhaar bhī haiñ
dekh kar rāh-e-mohabbat se guzarne vaale
terī is ḳhaas adā par huuñ dil-o-jāñ se nisār
merī āñkhoñ se mire dil meñ utarne vaale
aisī tanzīm-e-gulistāñ kā ḳhudā hī hāfiz
ab ye tinke haiñ kisī roz bikharne vaale
ab to be-kār hai har sa.ī-e-musalsal 'āsī'
ab nahīñ gesū-e-hālāt sañvarne vaale
hum hain tufan-e-hawadis se guzarne wale
hum nahin mauj-e-bala-KHez se Darne wale
aap ji bhar ke dil-e-zar pe bedad karen
hum kisi taur shikayat nahin karne wale
kash tu dard-e-mohabbat se shanasa hota
ahd-o-paiman-e-mohabbat se mukarne wale
phul hi phul nahin is mein kai KHar bhi hain
dekh kar rah-e-mohabbat se guzarne wale
teri is KHas ada par hun dil-o-jaan se nisar
meri aankhon se mere dil mein utarne wale
aisi tanzim-e-gulistan ka KHuda hi hafiz
ab ye tinke hain kisi roz bikharne wale
ab to be-kar hai har sai-e-musalsal 'asi'
ab nahin gesu-e-haalat sanwarne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.