hum haq pe hain to kahiye sar-e-dar kaun hai
ham haq pe haiñ to kahiye sar-e-dār kaun hai
ahbāb pārsā haiñ gunahgār kaun hai
tum hī batāo dost vafādār kaun hai
mushkil meñ aaj apnā madad-gār kaun hai
pathrāv ho rahā hai musalsal makān par
ab kyā batā.eñ ham pas-e-dīvār kaun hai
sūraj ko saath le ke bhī aa.eñ to kyā mile
kamre haiñ sab ke band parastār kaun hai
'anjum' hamāre paas faqat pyaar hī to hai
lekin mohabbatoñ kā ḳharīdār kaun hai
hum haq pe hain to kahiye sar-e-dar kaun hai
ahbab parsa hain gunahgar kaun hai
tum hi batao dost wafadar kaun hai
mushkil mein aaj apna madad-gar kaun hai
pathraw ho raha hai musalsal makan par
ab kya bataen hum pas-e-diwar kaun hai
suraj ko sath le ke bhi aaen to kya mile
kamre hain sab ke band parastar kaun hai
'anjum' hamare pas faqat pyar hi to hai
lekin mohabbaton ka KHaridar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.