hum hi jalae baiThe hain ummid ka diya
ham hī jalā.e baiThe haiñ ummīd kā diyā
us ne to e'tibār kā sūraj bujhā diyā
coffē yā chaa.e us ne kiyā thā yahī savāl
maiñ ne laboñ ko us ke laboñ se lagā diyā
is kā nahīñ malāl unheñ ḳhud na uTh sake
un ko ḳhushī hai ye ki mujhe bhī girā diyā
ye Dar bhī ibtidā se mohabbat meñ saath hai
ik roz tum kahogī mujhe tum ne kyā diyā
hum hi jalae baiThe hain ummid ka diya
us ne to e'tibar ka suraj bujha diya
coffee ya chae us ne kiya tha yahi sawal
main ne labon ko us ke labon se laga diya
is ka nahin malal unhen KHud na uTh sake
un ko KHushi hai ye ki mujhe bhi gira diya
ye Dar bhi ibtida se mohabbat mein sath hai
ek roz tum kahogi mujhe tum ne kya diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.