hum hi karte nahin zulfon ko teri haar pasand
ham hī karte nahīñ zulfoñ ko tirī haar pasand
shaiḳh sāhib ko bhī aatā hai ye zunnār pasand
sabza-e-ḳhat rahe us chehra-e-gul-rañg se duur
zaḳhm-e-dil ko nahīñ ye marham-e-zañgār pasand
jā.ūñ ka.abe ko maiñ kis tarah se ai vā.iz-e-shahr
aa gayā mujh ko to ab ḳhāna-e-ḳhummār pasand
go ki sau rañg gulistān meñ dikhlā.e bahār
na kareñ gul ko tire tālib-e-dīdār pasand
jo koī dard se Tuk chāshnī rakhtā hogā
usī ko ā.eñge 'joshish' mire ash.ār pasand
hum hi karte nahin zulfon ko teri haar pasand
shaiKH sahib ko bhi aata hai ye zunnar pasand
sabza-e-KHat rahe us chehra-e-gul-rang se dur
zaKHm-e-dil ko nahin ye marham-e-zangar pasand
jaun kabe ko main kis tarah se ai waiz-e-shahr
aa gaya mujh ko to ab KHana-e-KHummar pasand
go ki sau rang gulistan mein dikhlae bahaar
na karen gul ko tere talib-e-didar pasand
jo koi dard se Tuk chashni rakhta hoga
usi ko aaenge 'joshish' mere ashaar pasand
- Book : Deewan-e-Joshish(Rekhta Website) (Pg. 92)
- Author : Joshish Azimabadi
- Publication : Bihar Urdu Acadmy (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.