hum hue sare zamane se KHafa tere liye
ham hue saare zamāne se ḳhafā tere liye
zulm kyā kyā na sahe jān-e-adā tere liye
tere parvāne kī jaañ le ke rahā vo āḳhir
ham ne chāhat kā jalāyā jo diyā tere liye
ḳhud se baḌh kar bhī kabhī ham ne tujhe chāhā hai
lab pe raushan rahī har vaqt duā tere liye
raat din ham ne bahā.e haiñ lahū ke aañsū
kī hai manzūr sisakne kī adā tere liye
dostī tujh se jo kī ho ga.ī dushman duniyā
ishq ke naam pe kyā kyā na huā tere liye
terī har baat ko maanā kiye haamī bhar lī
ham hue paikar-e-taslīm-o-razā tere liye
terī ḳhātir kiyā samjhauta jahāñ se 'hāfiz'
ham ne bardāsht kī tauhīn-e-anā tere liye
hum hue sare zamane se KHafa tere liye
zulm kya kya na sahe jaan-e-ada tere liye
tere parwane ki jaan le ke raha wo aaKHir
hum ne chahat ka jalaya jo diya tere liye
KHud se baDh kar bhi kabhi hum ne tujhe chaha hai
lab pe raushan rahi har waqt dua tere liye
raat din hum ne bahae hain lahu ke aansu
ki hai manzur sisakne ki ada tere liye
dosti tujh se jo ki ho gai dushman duniya
ishq ke nam pe kya kya na hua tere liye
teri har baat ko mana kiye hami bhar li
hum hue paikar-e-taslim-o-raza tere liye
teri KHatir kiya samjhauta jahan se 'hafiz'
hum ne bardasht ki tauhin-e-ana tere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.