hum is jahan mein aae to sath lae din
ham is jahān meñ aa.e to saath laa.e din
kisī ke maut ke jiine ke sab manā.e din
ḳhushī kā din to baḌī minnatoñ se bantā hai
udāsiyoñ ke magar haiñ bane-banā.e din
hue haiñ aañkh se ojhal kabhī jo apne the
hamārī god meñ palte haiñ kuchh parā.e din
ye shor-o-ġhul ye Thahāke tā qahqahoñ kā hujūm
baḌe jatan kiye phir ham ne chup karā.e din
jab us kā raat kā nashsha utarne vaalā thā
ġhamoñ ko ghol ke ham ne use pilā.e din
na is meñ chāñd na hī jagmagāte taare haiñ
koī sitāra-sifat aa ke ab sajā.e din
maiñ us ke saath añdheroñ kī sair par niklī
vo mere saath rahā aur mujhe dikhā.e din
hum is jahan mein aae to sath lae din
kisi ke maut ke jine ke sab manae din
KHushi ka din to baDi minnaton se banta hai
udasiyon ke magar hain bane-banae din
hue hain aankh se ojhal kabhi jo apne the
hamari god mein palte hain kuchh parae din
ye shor-o-ghul ye Thahake ta qahqahon ka hujum
baDe jatan kiye phir hum ne chup karae din
jab us ka raat ka nashsha utarne wala tha
ghamon ko ghol ke hum ne use pilae din
na is mein chand na hi jagmagate tare hain
koi sitara-sifat aa ke ab sajae din
main us ke sath andheron ki sair par nikli
wo mere sath raha aur mujhe dikhae din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.