hum jahil nakara log
ham jāhil nākāra log
ham par kareñ ijārā log
ham haiñ raakh umīdoñ kī
vo haiñ chāñd sitārā log
kis kī baat sune koī
bol rahe haiñ bārah log
Duub rahe the sab ke sab
bhūle aas kinārā log
dil se mil kar rahte haiñ
ek hī ghar meñ bārah log
bhā.ī-chāra ḳhatm huā
ho ga.e paarā paarā log
lahja kis ne talḳh kiyā
chīḳhā aur pukārā log
ham tum hoñ is duniyā meñ
ham ko nahīñ gavārā log
sāloñ baad hue yakjā
aa ga.e beach dobāra log
hum jahil nakara log
hum par karen ijara log
hum hain rakh umidon ki
wo hain chand sitara log
kis ki baat sune koi
bol rahe hain barah log
Dub rahe the sab ke sab
bhule aas kinara log
dil se mil kar rahte hain
ek hi ghar mein barah log
bhai-chaara KHatm hua
ho gae para para log
lahja kis ne talKH kiya
chiKHa aur pukara log
hum tum hon is duniya mein
hum ko nahin gawara log
salon baad hue yakja
aa gae beach dobara log
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.