Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum jaan ke unki mahfil mein aghyar ki baaten karte hain

Basheer Ahmad Shad

hum jaan ke unki mahfil mein aghyar ki baaten karte hain

Basheer Ahmad Shad

MORE BYBasheer Ahmad Shad

    ham jaan ke un mahfil meñ aġhyār bāteñ karte haiñ

    phūloñ ko satāne ḳhātir ham ḳhaar bāteñ karte haiñ

    kuchh log gulāboñ sūrat kāñToñ se guzāra karte haiñ

    mahrūm-e-mohabbat ho kar bhī vo pyaar bāteñ karte haiñ

    kaliyoñ ko chaTaktā dekh ke jo bijlī ko pukārā karte the

    ab raakh uḌā kar log vahī gulzār bāteñ karte haiñ

    afsos hai un insānoñ par jo chand nivāloñ ḳhātir

    shāhoñ ke qasīde likhte haiñ sarkār bāteñ karte haiñ

    dekhā hai jab se phūloñ ne ai jaan tumhāre chehre ko

    aapas meñ tumhāre hoñToñ ruḳhsār bāteñ karte haiñ

    jo saarī umr fasīloñ meñ sūraj shuāoñ ko tarse

    vo log hamīñ se kūche bāzār bāteñ karte haiñ

    jo raat ko apne saath liye aa.e the shahr galiyoñ meñ

    ab nuur ke taḌke sub.hoñ ke āsār bāteñ karte haiñ

    vo zinda thā to koī bhī pursān-e-hāl na thā us

    ab kitne shauq se log usī bīmār bāteñ karte haiñ

    hum jaan ke un ki mahfil mein aghyar ki baaten karte hain

    phulon ko satane ki KHatir hum KHar ki baaten karte hain

    kuchh log gulabon ki surat kanTon se guzara karte hain

    mahrum-e-mohabbat ho kar bhi wo pyar ki baaten karte hain

    kaliyon ko chaTakta dekh ke jo bijli ko pukara karte the

    ab rakh uDa kar log wahi gulzar ki baaten karte hain

    afsos hai un insanon par jo chand niwalon ki KHatir

    shahon ke qaside likhte hain sarkar ki baaten karte hain

    dekha hai jab se phulon ne ai jaan tumhaare chehre ko

    aapas mein tumhaare honTon ki ruKHsar ki baaten karte hain

    jo sari umr fasilon mein suraj ki shuaon ko tarse

    wo log hamin se kuche ki bazar ki baaten karte hain

    jo raat ko apne sath liye aae the shahr ki galiyon mein

    ab nur ke taDke subhon ke aasar ki baaten karte hain

    wo zinda tha to koi bhi pursan-e-haal na tha us ka

    ab kitne shauq se log usi bimar ki baaten karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now