hum jab ta’assubaat ki rau mein nikal gae
ham jab ta’assubāt kī rau meñ nikal ga.e
kitne na.e makān mahalle ke jal ga.e
ghar se nikal ke dekheñ khule āsmān meñ
tabdīl ham hue haiñ ki mausam badal ga.e
ye bahs hī fuzūl ki khoTe the yā khare
sikke the chalnā un kā muqaddar thā chal ga.e
raste pe ik za'īf ke chehre ko dekh kar
kyā kyā ḳhayāl zehn ke goshoñ meñ pal ga.e
pahchānñe meñ aatā nahīñ hai ab apnā shahr
do-chār saal meñ sabhī naqshe badal ga.e
hum jab ta’assubaat ki rau mein nikal gae
kitne nae makan mahalle ke jal gae
ghar se nikal ke dekhen khule aasman mein
tabdil hum hue hain ki mausam badal gae
ye bahs hi fuzul ki khoTe the ya khare
sikke the chalna un ka muqaddar tha chal gae
raste pe ek za'if ke chehre ko dekh kar
kya kya KHayal zehn ke goshon mein pal gae
pahchanne mein aata nahin hai ab apna shahr
do-chaar sal mein sabhi naqshe badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.