hum jahan the hum wahin pe rah gae
ham jahāñ the ham vahīñ pe rah ga.e
aap kā kyā aap aa.e kah ga.e
shāyad un kī āmadoñ kī raah ho
dekhte hī dekhte ham rah ga.e
umr guzrī hai tumhārī yaad meñ
is safar meñ kyā se kyā ham sah ga.e
ab tumheñ ham kyā kaheñ tum ġhair ho
hasratoñ ke ashk the jo bah ga.e
raah meñ huuñ mai-kashoñ kī dekhiye
baat kahnī thī nahīñ vo kah ga.e
muntazir hī ishq meñ ahsan rahā
sādgī se alvidā.a vo kah ga.e
hum jahan the hum wahin pe rah gae
aap ka kya aap aae kah gae
shayad un ki aamadon ki rah ho
dekhte hi dekhte hum rah gae
umr guzri hai tumhaari yaad mein
is safar mein kya se kya hum sah gae
ab tumhein hum kya kahen tum ghair ho
hasraton ke ashk the jo bah gae
rah mein hun mai-kashon ki dekhiye
baat kahni thi nahin wo kah gae
muntazir hi ishq mein ahsan raha
sadgi se alwidaa wo kah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.