hum jaise dil-e-muztar ki tarah zaKHmon ka mudawa kaun kare
hum jaise dil-e-muztar ki tarah zaKHmon ka mudawa kaun kare
Pandit Aks Lucknowi
MORE BYPandit Aks Lucknowi
ham jaise dil-e-muztar kī tarah zaḳhmoñ kā mudāvā kaun kare
ik chārāgar-e-dil kī ḳhātir phir turfa tamāshā kaun kare
tūfān se bachne kī ḳhātir sāhil se taqāzā kaun kare
mausam to badaltā rahtā hai mausam kā bharosa kaun kare
girdāb talātum mauj safar mastūl safīna sāhil ret
in sab se ulajhne vāloñ meñ dariyā se kināra kaun kare
kuchh kaam qanā.at se bhī lo kuchh ḳhvāb adhūre rahne do
qatre meñ samāyā ho dariyā to pyaas ko rusvā kaun kare
ālām kī afrātafrī meñ insān jiye to kaise bhalā
marnā bhī jahāñ āsān na ho jiine kī tamanna kaun kare
hai daañv par apnī jaan magar lab par na koī shikva na gila
ab ishq ke kārobār meñ bhī til bhar bhī ḳhasāra kaun kare
dil us kī taraf hai jis kī taraf duniyā hai mirī āñkheñ haiñ 'aks'
kyā is se ziyāda aur kahūñ zāhir meñ ishāra kaun kare
hum jaise dil-e-muztar ki tarah zaKHmon ka mudawa kaun kare
ek chaaragar-e-dil ki KHatir phir turfa tamasha kaun kare
tufan se bachne ki KHatir sahil se taqaza kaun kare
mausam to badalta rahta hai mausam ka bharosa kaun kare
girdab talatum mauj safar mastul safina sahil ret
in sab se ulajhne walon mein dariya se kinara kaun kare
kuchh kaam qanaat se bhi lo kuchh KHwab adhure rahne do
qatre mein samaya ho dariya to pyas ko ruswa kaun kare
aalam ki afraatafri mein insan jiye to kaise bhala
marna bhi jahan aasan na ho jine ki tamanna kaun kare
hai danw par apni jaan magar lab par na koi shikwa na gila
ab ishq ke karobar mein bhi til bhar bhi KHasara kaun kare
dil us ki taraf hai jis ki taraf duniya hai meri aankhen hain 'aks'
kya is se ziyaada aur kahun zahir mein ishaara kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.