hum jaise pagal bahutere phirte hain
ham jaise pāgal bahutere phirte haiñ
aap bhalā kyoñ baal bikhere phirte haiñ
kāñdhoñ par zulfeñ aise bal khātī haiñ
jaise le kar saañp sapere phirte haiñ
chāñd sitāre kyoñ mujh se pañgā le kar
mere pīchhe Dere Dere phirte haiñ
ḳhushiyāñ mujh ko DhūñD rahī haiñ galiyoñ meñ
par ġham haiñ kī ghere ghere phirte haiñ
na jaane kab un ke karam kī bārish ho
aur na jaane kab din mere phirte haiñ
hum jaise pagal bahutere phirte hain
aap bhala kyon baal bikhere phirte hain
kandhon par zulfen aise bal khati hain
jaise le kar sanp sapere phirte hain
chand sitare kyon mujh se panga le kar
mere pichhe Dere Dere phirte hain
KHushiyan mujh ko DhunD rahi hain galiyon mein
par gham hain ki ghere ghere phirte hain
na jaane kab un ke karam ki barish ho
aur na jaane kab din mere phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.