hum jaison ke jitne sapne hote hain
ham jaisoñ ke jitne sapne hote haiñ
saare tujh se milte-julte hote haiñ
duur raheñ to yaad bahut aatī sab kī
saath raheñ to ghar meñ jhagḌe hote haiñ
ik din meñ hī paar samundar nahīñ hogā
achchhe sher bhī hote hote hote haiñ
baa.eñ taraf ab bhī almārī ḳhālī hai
daa.eñ taraf hī mere kapḌe hote haiñ
holī par bhī kaam nahīñ aatā hai vo
jis kurte par ḳhuun ke dhabbe hote haiñ
hum jaison ke jitne sapne hote hain
sare tujh se milte-julte hote hain
dur rahen to yaad bahut aati sab ki
sath rahen to ghar mein jhagDe hote hain
ek din mein hi par samundar nahin hoga
achchhe sher bhi hote hote hote hain
baen taraf ab bhi almari KHali hai
daen taraf hi mere kapDe hote hain
holi par bhi kaam nahin aata hai wo
jis kurte par KHun ke dhabbe hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.