hum jidhar ho udhar raushni dosto
ham jidhar ho udhar raushnī dosto
apne dam se miTe tīrgī dosto
raah meñ pahle Thokar lagī dosto
phir sahāyak banī āgahī dosto
aap kī dostī se bahut kuchh milā
zindagī raushnī rahbarī dosto
dil kushāda kiyā karb ko pī liyā
dhīre dhīre kaTī muflisī dosto
merī kal pe koī bhī udhārī nahīñ
maiñ ne har din jiyā āḳhirī dosto
zaḳhm ke peḌ par buuñd phir gir paḌī
shāḳh phir ho ga.ī ik harī dosto
hum jidhar ho udhar raushni dosto
apne dam se miTe tirgi dosto
rah mein pahle Thokar lagi dosto
phir sahayak bani aagahi dosto
aap ki dosti se bahut kuchh mila
zindagi raushni rahbari dosto
dil kushada kiya karb ko pi liya
dhire dhire kaTi muflisi dosto
meri kal pe koi bhi udhaari nahin
main ne har din jiya aaKHiri dosto
zaKHm ke peD par bund phir gir paDi
shaKH phir ho gai ek hari dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.