hum jinhen raaz-dan bana baiThe
ham jinheñ rāz-dāñ banā baiThe
vo sabhī dushmanoñ meñ jā baiThe
tīrgī chhā ga.ī nigāhoñ par
aap chehra chhupā ke kyā baiThe
muḳhtalif nasl thī parindoñ kī
donoñ pāgal the dil lagā baiThe
khā gayā aab sab safīnoñ ko
rah ga.e saare nā-ḳhudā baiThe
aap merā hadaf nahīñ the par
aap ḳhud darmiyān aa baiThe
jin dimāġhoñ meñ zo'm baiThā ho
un meñ kis tarh mashvara baiThe
ho ga.e bazm meñ sabhī tanhā
vo hamāre qarīb kyā baiThe
jo hoñ baiThe du'ā ke saa.e meñ
un charāġhoñ pe kyā havā baiThe
jin kā pesha fareb thā vo bhī
zindagī se fareb khā baiThe
hum jinhen raaz-dan bana baiThe
wo sabhi dushmanon mein ja baiThe
tirgi chha gai nigahon par
aap chehra chhupa ke kya baiThe
muKHtalif nasl thi parindon ki
donon pagal the dil laga baiThe
kha gaya aab sab safinon ko
rah gae sare na-KHuda baiThe
aap mera hadaf nahin the par
aap KHud darmiyan aa baiThe
jin dimaghon mein zo'm baiTha ho
un mein kis tarh mashwara baiThe
ho gae bazm mein sabhi tanha
wo hamare qarib kya baiThe
jo hon baiThe du'a ke sae mein
un charaghon pe kya hawa baiThe
jin ka pesha fareb tha wo bhi
zindagi se fareb kha baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.