hum jo bichhDe hain to aankhon ko bhigote hi rahe
ham jo bichhḌe haiñ to āñkhoñ ko bhigote hī rahe
motī palkoñ pe hama-vaqt pirote hī rahe
ham to so.e the ghanī niiñd kī chādar oḌhe
ḳhvāb kyā dekh liyā aisā ki rote hī rahe
yā to vo de na sake dard ke lamhoñ ko ḳhirāj
yā na.e zaḳhm mile haiñ jinheñ dhote hī rahe
is judā.ī kī siyah-rāt ne sone na diyā
ham tirī yaad ke lamhoñ ko pirote hī rahe
tum ga.e vaqt ke mānind rahe ḳhush 'manzar'
bār-e-ġham log na.ī nasl ke Dhote hī rahe
hum jo bichhDe hain to aankhon ko bhigote hi rahe
moti palkon pe hama-waqt pirote hi rahe
hum to soe the ghani nind ki chadar oDhe
KHwab kya dekh liya aisa ki rote hi rahe
ya to wo de na sake dard ke lamhon ko KHiraj
ya nae zaKHm mile hain jinhen dhote hi rahe
is judai ki siyah-raat ne sone na diya
hum teri yaad ke lamhon ko pirote hi rahe
tum gae waqt ke manind rahe KHush 'manzar'
bar-e-gham log nai nasl ke Dhote hi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.