hum jo guzre hue lamhon ki taraf dekhte hain
ham jo guzre hue lamhoñ kī taraf dekhte haiñ
aisā lagtā hai ki sadiyoñ kī taraf dekhte haiñ
jin ko mālūm hai nīñdoñ ke ujaḌne kā azaab
jāgtī aañkh se ḳhvāboñ kī taraf dekhte haiñ
yaad aatā hai hameñ aap kā chehra aksar
ham agar chāñd-sitāroñ kī taraf dekhte haiñ
muntazir hoñge ka.ī din se kisī ke shāyad
log hasrat se jo rastoñ kī taraf dekhte haiñ
us kī ik baar nazar paḌne pe maġhrūr na ban
log bāzār meñ kitnoñ kī taraf dekhte haiñ
aisī tartīb se zaḳhmoñ ko siyā hai maiñ ne
chārāgar ġhaur se Tāñkoñ kī taraf dekhte haiñ
hum jo guzre hue lamhon ki taraf dekhte hain
aisa lagta hai ki sadiyon ki taraf dekhte hain
jin ko malum hai nindon ke ujaDne ka azab
jagti aankh se KHwabon ki taraf dekhte hain
yaad aata hai hamein aap ka chehra aksar
hum agar chand-sitaron ki taraf dekhte hain
muntazir honge kai din se kisi ke shayad
log hasrat se jo raston ki taraf dekhte hain
us ki ek bar nazar paDne pe maghrur na ban
log bazar mein kitnon ki taraf dekhte hain
aisi tartib se zaKHmon ko siya hai main ne
chaaragar ghaur se Tankon ki taraf dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.