hum jo har bar KHwab dekhte hain
ham jo har baar ḳhvāb dekhte haiñ
ya.anī be-kār ḳhvāb dekhte haiñ
raat kā pahr ho ki din kā samāñ
ham lagātār ḳhvāb dekhte haiñ
shahr kā mas.ala bane hue haiñ
ye jo do chaar ḳhvāb dekhte haiñ
lashkarī un pe TuuT paḌte haiñ
jitne advār ḳhvāb dekhte haiñ
so rahe the to ḳhvāb dekhte the
ho ke bedār ḳhvāb dekhte haiñ
us kahānī kī aañkh raushan hai
us ke kirdār ḳhvāb dekhte haiñ
'roz' ta.abīr TuuT jaatī hai
chāhe sau baar ḳhvāb dekhte haiñ
hum jo har bar KHwab dekhte hain
yani be-kar KHwab dekhte hain
raat ka pahr ho ki din ka saman
hum lagatar KHwab dekhte hain
shahr ka masala bane hue hain
ye jo do chaar KHwab dekhte hain
lashkari un pe TuT paDte hain
jitne adwar KHwab dekhte hain
so rahe the to KHwab dekhte the
ho ke bedar KHwab dekhte hain
us kahani ki aankh raushan hai
us ke kirdar KHwab dekhte hain
'roz' tabir TuT jati hai
chahe sau bar KHwab dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.