hum jo masjid se dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
ham jo masjid se dar-e-pīr-e-muġhāñ tak pahuñche
baḌh ke ye baat ḳhudā jaane kahāñ tak pahuñche
kaun kahtā hai rahe rāz-e-mohabbat pinhāñ
ham to kahte haiñ ki ye baat vahāñ tak pahuñche
sun sake kyuuñ na tum āvāz shikast-e-dil kī
ye vo āvāz hai jo gosh-e-girāñ tak pahuñche
hajv-e-mai shaiḳh ne kī toḌ dī maiñ ne tauba
dil bhī ḳhvāhāñ thā ki ye bahs yahāñ tak pahuñche
muñh se niklī huī har baat parā.ī hogī
baat apnī hai vahī jo na zabāñ tak pahuñche
fasl-e-gul ne ye nayā aaj shagūfa chhoḌā
shaiḳh sāhab bhī dar-e-pīr-e-muġhāñ tak pahuñche
is liye aap se kahtā huuñ sazā deñ mujh ko
koī to baat mirī aap kī haañ tak pahuñche
kar chuke jins-e-mohabbat kā vo saudā 'sāhir'
jin kī hir-phir ke nazar sūd-o-ziyāñ tak pahuñche
hum jo masjid se dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
baDh ke ye baat KHuda jaane kahan tak pahunche
kaun kahta hai rahe raaz-e-mohabbat pinhan
hum to kahte hain ki ye baat wahan tak pahunche
sun sake kyun na tum aawaz shikast-e-dil ki
ye wo aawaz hai jo gosh-e-giran tak pahunche
hajw-e-mai shaiKH ne ki toD di main ne tauba
dil bhi KHwahan tha ki ye bahs yahan tak pahunche
munh se nikli hui har baat parai hogi
baat apni hai wahi jo na zaban tak pahunche
fasl-e-gul ne ye naya aaj shagufa chhoDa
shaiKH sahab bhi dar-e-pir-e-mughan tak pahunche
is liye aap se kahta hun saza den mujh ko
koi to baat meri aap ki han tak pahunche
kar chuke jins-e-mohabbat ka wo sauda 'sahir'
jin ki hir-phir ke nazar sud-o-ziyan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.